Monday 17 November 2014

Naazuk hote hai yeh "rishte"

Naa jaane kyu rishto ka ghar hota hai bahut naazuk
Harr ghadi tutne ka darr laga rehta hai dil mein
Rishto ko bachaane ki harr koshish mein
Kho diya apna aatma sammaan
Harr pal rishtedaaro ke khaatir chadha di apne khushiyo ki bali
Phir bhi kuch naa kuch pad hi jaata hai kam
Thak gaye hai hum rishto ka bojh uthate uthate
Lekin khaamosh hai hum
Mann mein kosa apne kismat ko
Rooh ki cheekh sunn naa paaya koi
Mazaak banaya gaya humara harr waqt
Par phir bhi chup the hum
Aasu baha raha hai bechaara dil humara
Lekin unn aasuo ko pochne waala koi nhi
Muskuraahat chinn si gayi hai humari
Pal do pal ka saath tha humara inn rishton se
Jo ab choot gaya hai
Kisi ki khushi ke khaatir nibhaya humne harr woh rishta
Jo hume sabse zyaada taqleef de jaata
Chot khaayi humne harr baar
Lekin ki nhi shikaayat kabhi kisi se
Haar gaye hai hum ab inn rishto ke saamne
Kyuki ab inn bematlab rishto ko nibhaa kar
Khud ki bali chadhaane ka ab hume koi shauk nhi

No comments:

Post a Comment