Friday 21 November 2014

mazboot sahaara

Thandi si yeh hawa kuch keh rahi hai hum se
Taaro ki roshni de rahi hai halka sa sukoon
Lambe lambe yeh ped khaamosh khade hai
Udti zulfe humari chupa rahi hai humara dard
Mann hi mann khush hai hum naa jaane kyu
Pal pal ek alag sa ehsaas chu raha ha dil ko
Lag raha hai jaise phir se jeene lage hai hum
Kaapte yeh thade jhoke
Aazaad hai apni kahaani baantne ko
Harr ghadi ek naya josh ek naya anubhav
Milne lage hai hum khud se aur bhi zyaada
Pyaar karne lage hai hum phir se beintehaan
Dil dhadakne laga hai ab dubaara
Khayaal aata hai unn lamho ko jo choot gaye iss bhaag daud mein
Kehte hai zindagi choti hoti hai
Agar such hai yeh toh maano meri baat mere dosto
Jee lo yeh khaas pal apne saath
Bikhar gaye the hum par ab samet liya hai sab kuch humne
Shuru ki hai zindagi ka naya daur kisi ko sang liye
Accha lagne laga hai harr pal uss khaas insaan ke saath
Pehle toh sirf zinda the
Lekin ab jeene lage hai
Maafi mil gayi hume uss khaas insaan se
Paa liya rab ko humne
Khushi se daaman bhar gaya hai
Dil mein ab koi dard koi gham nahi
Mann mein koi gile shikwe nahi
Halka mehsoos ho raha hai ab hume
Kyuki humare dil mein ab koi bojh nahi
Vaakai bahut bada hai humara dil
Jisne bina kuch soche humaari harr galati ki maafi de di
Mohabbat toh hai hume
Lekin iss baar sirf humare dil se apne aap se
Kyuki duniya dhokha de sakti hai par dil nahi
Bharosa hai iss baat ka ki ab hum bikharenge nahi
Kyuki aakhir thaama hai humare dil me humaara haath

No comments:

Post a Comment