Sunday 2 November 2014

Humari duniya

Diya aapne saath humara
Harr pal harr kadam
Mann mein the kai sawaal aapko lekar
Pr dheere dheere mile sab ke jawaab
Adhure the hum aapke bina
Khalti thi kami ek bhai ki pehle
Par ab aur nahi
Mile aap zindagi k registhan mein paani ki ek boond k jaise
Khayaal rakha humara ek mulayam gulab k jaise
Kaante aaye bahut saare
Pr mita naa saka koi kaanta humare iss bandhan ka astitva
Jeete hai hum aapki badaulat
Naaz hai hume khud pr
Kyuki aapki ek muskurahat ki vajah hum bhi bante hai
Kabhi kabhi dil mein khayaal aata hai ki
Reh jaaye ban kr aapki nanhi pari hum humesha k liye
Maana hai aapko apna sab kuch humne
Nahi jaante humari kya jagah hai aapki zindagi mein
Lekin aapki jagah hai bhagwaan k baad humari zindagi mein
Harr baar khuda se maangte hai aapki khushi
Kyuki aapki muskuraahat mein hai humari hasi
Aapke aakhon mein ek boond aasu dil ko taar taar kar deti hai
Aapke liye kuch bhi kar jaane ka jee karta hai
Aapke baare mein soch kr hi
Chehre pr humare aati hai halki si muskuraahat
Pal do pal ka naata humara nahi
Rakhi baandha hai sirf naam ke liye nahi
Aksar aap se door jaane ka khwaab ki
Jee ko jakhzor deta hai
Duniya ki hume koi parvaah nhi
Aapke alava aur kisi pe bharosa nahi
Dil mein baste ho aap dhadkan ke jaise
Rooh mein rehte ho aap aatma ke samaan
Aakhon mein baste ho sapno ki tarah
Humari duniya aap ho
Aakhir aap hi toh ho woh jis ke liye zinda hai hum
Bhai behen ka yeh rishta aur rishton ki tarah kamzor nahi
Kyuki ek dusre ke dil mein rehte hai hum

No comments:

Post a Comment