Friday 7 November 2014

Khawaabo ka aashiyaana

Paana chaahte hai bahut kuch
Sapne sanjoye hai hazaaro
Aakhon ne bune hai khwahishein kai
Mann betaab hai bhaagne ko
Sapno mein dekha hai khud ko kaamiyaab
Uss sapne ko such karne chaahte hai hum
Mann hi mann thaan li hai ki
Ab jiyege toh sirf unn sapno ke khaatir
Woh garv aur kahi nhi milta
Woh aatma sammaan sukoon de jaata hai
Saalam thokte hai hum apne sapno ko
Unhe haqeeqat mein badalna chaahte hai
Kehte hai sapno ki duniya rangeen hoti hai
Pr asal mein sapne rangeen tab bante hai
Jab hum unke peeche bhaage taaki woh such ho
Sapne dekhne ka haq sab ko hai
Unhe pura karna yaa naa karna
Aap par nirbhar hai
Woh khushi jab humara sapna such hua ho
Woh ehsaas
Jab hum apne sapno ko paane ke khaatir jee jaan laga dete hai
Pal pal jeena apne sapno ke saath Aur ek din unn sapno ko pura karke saans lena
Alag hi josh de jaata hai
Hum woh nahi jo sapne sajaye aur bhul jaaye
Hum unn logo mein se hai
Jo sapne dekhna jaante hai
Aur unhe such karne ki himmat bhi rakhte hai
Sab ke bas ki baat nhi
Aur hum haar maan ne waalo mein se nhi

No comments:

Post a Comment