Thursday 23 October 2014

Tuta bharosa aur tuti dosti

Aksar woh pal aata hai zindagi mein
Jab hume chun na padta hai logo ke beech
Khushi aur zimmedaari ke beech
Aaya woh mod humari zindagi mein bhi
Khade the hum aise
Jaise koi jaa hi nhi bachi seene mein
Socha humne bahut lekin
Nazar naa aaya raasta koi
Har pal har lamha zimmedaari ko nibhaya humne
Ki harr woh koshish apne zimmedaari ko nibhane ki
Pr harr baar koi naa koi kami reh jaati
Saha humne bahut
Di apne khushi ki kurbaani
Pr aakhir hume mila kya
Maanga humne dua unke liye
Aur hume badle mein mili sirf baddua
Anjaan the hum harr baar
Jab diya jhut ko humare naam ka sahaara
Anjnabi the hum aaj tak unki asli chehre se
Harr pal sirf aur sirf jhut kaha gaya humse
Pyaar ko bachaane ke khaatir
Le li unhone dosti ki jaan
Pr phir bhi chup the hum
Mann hi mann socha ki kuch saalo ki baat hai
Kuch nhi kahenge unse
Pr din-ba-din jhut ka ghada bharta gaya
Liya gaya humare sabar ka imtehaan
Lekin phir bhi khaamosh rhe hum
Tuta humara sabar uss din
Jis din uthi ungli humare aatma samaan ke khilaf
Kho diya humne woh bacha kucha sabar
Jab baat hadd se aage badh chuka tha
Sabse zyada sabar rakha hum ne unke prati
Aur aakhir mein unhi ki badaulat
Kho baithe hum dosti pr ka bharosa
Pyaar pr toh tha hi nhi vishwaas
Lekin ab dosti pr ka bharosa bhi uth chuka hai

Thursday 16 October 2014

Khuda ka anmol tofa: ZINDAGI

Taaro se bhara khula aasaman
Chaandni ki roshni se saja
Zindagi ko jeene ka naya andaaz seekha humne aaj
Sitaaro se jami hai mehfil
Ped toh jaise
Chaand ke tale aur bhi khubsurat lag rhe hai
Hava chal rhi hai dheeme dheeme
Baaho ko failaye hue
Saans le rhe hai hum
Baadal jaise aakhn micholi khel rhe hai chaand ke sang
Pyar se bula rhe hai saare taare hume
Jeena chaahte hai hum iss pal ko jee bhar ke
Kuch alag sa ehsaas hai aaj dil mein
Raat ki chuppi
Raaho ki shaitani harkatein
Badi pyaari lagti hai
Aaj khud se mile hum
Ek naye sire se
Chal rha hai silsila khud mein ghum ho jaane ka
Khud ke pyar mein bahut zyada dube hai hum
Chaandni ki khamoshi
Chaand ka muskurana
Taaro ki shaanti
Mann ka sukoon
Aatma mein raahat
Inn sab ke saath bade khush hai hum
Chaand hume dekh kr muskura raha hai
Taare jal rhe hai
Kyuki unn taaro se zyada
Hum iss chaandni raat ka maza le rhe hai
Aakhn micholi ka khel chaand aur baadalo ke sang
Hum bhi khel rhe hai
Kyuki hum khud se bahut zyada pyar krte hai......

I love my life

Heart is fighting battles abt wich no one knws
Mind is being impatient for silly thngs
Soul is yearning 4 peace
Sumwhr i'm losing myself
Life is short i hd heard bt thot it was false
Nw learning d real meaning of wat lyf is
Simple it is wid complicated thngs in it
Nvr thot i wuld reach such a stage in d journey of lyf
Whr finding myself in d crowd of ppl wuld bcum difficult
Lyf taught me evry single thng
Bt yet sumthng is missing i feel
Heart says sumthng n mind contradicts it
Its d irony of lyf wich always proves itself right
Nvr mind & hrt goes togethr
Both go in opposite directions yet hrt wins
Sumtyms d chilling wind has sumthng 2 say 
D pouring rains says its story
Bt i dnt knw wat does my hrt want
In a confused state of mind i am
Bt still i'm managing thngs dnt knw hw
Hrt lives 4 me i live 4 sum unknwn reasn
Ppl feel i dnt shed tears
Bt dey aren't aware of d bittr truth hidden in d 4 walls
I feel helpless wen my eyes moist
Wid no option left i let d tear drops flow
Sitting wid ppl i feel alone
Spking 2 all i feel lost
God knws whr i am
Imprfection is wat i luv & live for
Bt still ppl say am prfct
Dilemma has taken place of hrt beats nw
My hrt's evry beat increases d dilemma
Yet i am quite wid nthng 2 say
Losing myself is wat i hate
Bt i guess its my fate right nw
Simple life is wid its complicated theory
Wid all its complications it is worth living
I luv my lyf d way it is

Sunday 12 October 2014

Khuda ki amanat

Paati hu khud ko tujh mein
Jeena seekhti hu tujhse
Ban na chaahti teri parchaai
Rehna chaahti hu tere aanchal ki chaav mein
Milta hai sukoon jab hoti hai tu paas
Paaya hai khud ko tujh mein kahi ghum
Ban na hai mujhe tere jaisa
Tere aanchal ko sar par oadhna chaahti hu main
Mann hi mann teri lambi umar ki kaamna karti hu
Aati hu teri godi mein lekar dhero sapne
Laati hu sab ke liye hazaaro khushiyan
Par kyun mere sapno ko, unn khushiyo ko aur mujhe
Khatam kar diya jaata hai
Karvatein badalti hu main teri kokh mein
Tere saath rehti hu main bhi nau mahine
Lekin mujhe paida hone se pehle hi kyu maara jaata hai
Main bhi apne mutthi ko band karke aati hu yahaan
Mere bhi chote - chote haath
Nanhe - nanhe pair hote hai
Khwaabo se bhari aakhein hoti hai
Jinko khulne se pehle hi band kar diya jaata hai
Main bhi badi ho kar aap dono ka naam roshan karungi
Jisko saalo baad doli mein baithna chaahiye
Usse shamshan ghaat ka raasta dikhaya jaata hai
Raat ke andhere mein jise taaro ko dekhna chaahiye
Unn ko gin na chaahiye
Aakhir mein woh khud ek taara ban kar reh jaati hai
Aisa kyu..???
Duniya mein kadam rakhne se pehle hi
Usse iss duniya ko alvida kehna padta hai
Aakhein nam ho jaati hai uski
Yeh jaan kar ki
Woh ek LADKI hai
Kyuki aaj nahi toh kal
Usse maut ke ghaat utaar diya jaayega
BETIYAN bojh nahi hoti
Woh toh khuda ki amanat hoti hai
Jis ko log pehchaan nahi paate...

MAA KI MAMTA

Nisswarth hai aapka pyaar
Karte ho beintehaan mohabbat aap humse
Bina iss iccha ke ki aapko pyaar mile pyaar k badle
Rakhti ho nau mahine apne kokh mein hume
Sehti ho harr dard hume saans dene k liye
Mann hi mann maangti ho humari salamati
Chot hume lagti hai par taqleef aapko hoti hai
Dard hota toh hume hai par aasu aapke aakhon se nikalte hai
Aapke sanskaar hai hum mein
Aapki parchaai hai hum
Pal pal karte hai aapka shukriyaada kyuki
Aapki badaulat aaj humara astitva hai
Koi hume maarta hai toh Aakhein aapki nam ho jaati hai
Aapki khushi chipi hai humari hasi mein
Aur ghum humare dard mein
Laangti ho harr seema ko aap sirf humare khaatir
Bekhauf uthati ho harr khatra humare liye
Khush naseeb hai hum ki
Humari zindagi mein aap ho
Chaahke bhi aap kuch kr nhi paati
Humare liye kabhi kabhi
Pr iss baat ka hume koi ghum nhi
Aapki maujudgi hi sabse bada tofa hai humare liye
Kyuki aakhir aap hi humari duniya hai..
Aur aapko paana humara vardaan hai

Saturday 11 October 2014

Irony of life......

Tired of tolerating thngs
My heart dies 4 freedom
My soul longs 4 peace
Each day i see myself in d mirror
I realise my eyes getting moist bt i cnt shed tears
Daily i see a new me ready 2 hv a plastic smile
My eyes need rest bt dey get no rest
My hrt wants an undrstanding hrt
I've lost all my patience in handling ppl
Lil soul of mine craves 2 hv a bit of happiness
Sitting undr d moon i feel as if he's lukng @ me
D breeze blows away my tears
Life is gettng worser day by day
Mind is restless.. hrt lacks peace... soul screams 4 silence
Bt ppl dnt bothr abt it
Dey dnt give a damn
I'm a lonely soul here keepng quite & tolerating evrythng
Running away is d best option i feel
Bt i'm so helpless dat i cnt run away
Quitting life wnt do any gud
I dnt wanna b coward
All ovr again i smile e1 though my eyes r wet
Bcoz fake smile always masks up real tears
As always my plastic laugh wins ovr my real true & moist eyes...





Life goes on....

Heart is fighting battles abt wich no one knws
Mind is being impatient for silly thngs
Soul is yearning 4 peace
Sumwhr i'm losing myself
Life is short i hd heard bt thot it was false
Nw learning d real meaning of wat lyf is
Simple it is wid complicated thngs in it
Nvr thot i wuld reach such a stage in d journey of lyf
Whr finding myself in d crowd of ppl wuld bcum difficult
Lyf taught me evry single thng
Bt yet sumthng is missing i feel
Heart says sumthng n mind contradicts it
Its d irony of lyf wich always proves itself right
Nvr mind & hrt goes togethr
Both go in opposite directions yet hrt wins
Sumtyms d chilling wind has sumthng 2 say 
D pouring rains says its story
Bt i dnt knw wat does my hrt want
In a confused state of mind i am
Bt still i'm managing thngs dnt knw hw
Hrt lives 4 me i live 4 sum unknwn reasn
Ppl feel i dnt shed tears
Bt dey aren't aware of d bittr truth hidden in d 4 walls
I feel helpless wen my eyes moist
Wid no option left i let d tear drops flow
Sitting wid ppl i feel alone
Spking 2 all i feel lost
God knws whr i am
Imprfection is wat i luv & live for
Bt still ppl say am prfct
Dilemma has taken place of hrt beats nw
My hrt's evry beat increases d dilemma
Yet i am quite wid nthng 2 say
Losing myself is wat i hate
Bt i guess its my fate right nw
Simple life is wid its complicated theory
Wid all its complications it is worth living
I luv my lyf d way it is

Aakhir kyun..??

Muskurana padta hai naa chaahte hue bhi
Khush rehna padta bina marzi ke
Dil ko sambhalna padta hai khud se pehle
Aakhir kyu...
Mann ko hasaana padta hai
Jab rooh ro raha hota hai
Naa jaane kyu sab kuch sweekarte hai hum
Mushkil se mushkil waqt mein haste hai hum
Phir bhi ro padte hai
Aakhir kyu....
Sab kuch jaan kr anjaan bane rehte hai
Bigadti jaati hai cheeze phir bhi chup rehte hai hum
Andar hi andar til til marte rehte hai hum
Pr zinda bhi hai aaj tak
Khamoshi toh jaise zubaa se dur jaati nhi
Muskuraahat toh jaise hotho se chipki rehti hai
Dil chup reh kr sab kuch keh jaata hai hume
Lekin phir bhi hume koi farak nhi padta
Aakhir kyu....
Kyuki humara dil ab pathar ban chuka hai
Aur pathar ko bhi kabhi kabhi dard hota hai
Taqleef sehna aadat si ban gayi hai
Dard chupana majburi ban gayi hai
Phir bhi muskurate hai hum aakhon mein aasu liye
Yeh toh nhi pata woh aasu khushi ke hai ya ghum ke
Pr yeh toh such hai ki
Ab hume koi farak nhi padta kisi bhi cheez se
Kyuki haalat ne hume insaan se pathar bana diya hai
Jis mein ehsaas hi khatam ho gaye hai



Friday 10 October 2014

Humaara pehla pyaar

Pyaar mohabbat ki baatein humare palle padte nhi
Pyaar mohabbat ki baatein humare palle padte nhi
Phir bhi hai dher sara pyaar aapke liye
Mann hi mann khush hai hum ki
Aap mile hume humari zindagi mein
Kyuki harr koi itna khush naseeb nhi ki
Unhe aap jaisa dost mile
Karte hai beintehaan mohabbat aapse
Naa jaane kyu
Aakhir aap humare andar bas ne waali
Choti si jaan ho
Aap aur koi nhi humara nanha dil ho

Sacche dost

Socha naa tha kabhi ki
Saalo baad bhi barkaraar rahega dostaana humara
Pal do pal ka rishta humara nhi
Maana hai aapko apna dost
Toh khuda kasam nibhayenge dosti aakhri dam tak
Bicchadna likha toh hai hum sab ke naseeb mein
Par bicchad kar bhi naa bicchadne waale ko saccha dost  kehte hai
Diye hai hume bhi zindagi ne kai saare anmol ratan
Pr kudrat ka khel hi hai niraala ki
Naa chaahte hue bhi
Kuch saalo baad alag hona padega hume bhi
Kyuki zindagi ki gaadi kisi ke liye rukti nhi

Milna likha tha...

Milna likha tha hum dono ka
Milna likha tha hum dono ka
Par bicchde hum apni marzi se
Maalum naa tha hume ki
Itni taqleef hogi aapke bina
Ab aadat si ho gayi hai hume
Pehle hota tha dard
Lekin ab aur nahi
Jeena seekh liya hai humne bina aapke kyuki
Harr kisi ki kismat mein humara naam nhi..