Saturday 11 October 2014

Aakhir kyun..??

Muskurana padta hai naa chaahte hue bhi
Khush rehna padta bina marzi ke
Dil ko sambhalna padta hai khud se pehle
Aakhir kyu...
Mann ko hasaana padta hai
Jab rooh ro raha hota hai
Naa jaane kyu sab kuch sweekarte hai hum
Mushkil se mushkil waqt mein haste hai hum
Phir bhi ro padte hai
Aakhir kyu....
Sab kuch jaan kr anjaan bane rehte hai
Bigadti jaati hai cheeze phir bhi chup rehte hai hum
Andar hi andar til til marte rehte hai hum
Pr zinda bhi hai aaj tak
Khamoshi toh jaise zubaa se dur jaati nhi
Muskuraahat toh jaise hotho se chipki rehti hai
Dil chup reh kr sab kuch keh jaata hai hume
Lekin phir bhi hume koi farak nhi padta
Aakhir kyu....
Kyuki humara dil ab pathar ban chuka hai
Aur pathar ko bhi kabhi kabhi dard hota hai
Taqleef sehna aadat si ban gayi hai
Dard chupana majburi ban gayi hai
Phir bhi muskurate hai hum aakhon mein aasu liye
Yeh toh nhi pata woh aasu khushi ke hai ya ghum ke
Pr yeh toh such hai ki
Ab hume koi farak nhi padta kisi bhi cheez se
Kyuki haalat ne hume insaan se pathar bana diya hai
Jis mein ehsaas hi khatam ho gaye hai



No comments:

Post a Comment