Sunday 11 September 2016

Muskuraate hue

Muskuraate hue seekha humne jhoot bolna
Par aakhein hai ki sach chupa paaye nahi
Toot gaya sabr uss insaan ke saamne jiss par sabse zyaada tha yakeen
Naa jaane kyu apna sa lagne laga ek ajnabee saalo baas
Khol ke rakh diya dil ke kitaab ko uss ke saamne
Pyaar se uthaya hume uss ne
Bina kuch kahe gale lagaaya bade zor se
Magar pyaar kam huaa nahi
Chooma hamare maathe ko bade naazuk se
Hamari aakhon mein dekha
Aur kaha hamare kaano mein-
"Pari ho Aap, Meri Pari"
Jeet liya ussne hamara mann
Toote hue dil ko kuch iss tarah jod diya maano woh kabhi toota hi nahi
Ab bass ek khwaahish hai ki
Ho jaau main uski hamesha ke liye
Jeene ki icchaa jagi hai rooh mein
Jiyu toh uske sang aur maru toh uske liye

No comments:

Post a Comment