Thursday 25 December 2014

Khud ke deewaane

Taaro se bhara khula aasaman
Chaandni ki roshni se saja
Zindagi ko jeene ka naya andaaz seekha humne aaj
Sitaaro se jami hai mehfil
Ped toh jaise
Chaand ke tale aur bhi khubsurat lag rhe hai
Hava chal rhi hai dheeme dheeme
Baaho ko failaye hue
Saans le rhe hai hum
Baadal jaise aakhn micholi khel rhe hai chaand ke sang Pyar se bula rhe hai saare taare hume
Jeena chaahte hai hum iss pal ko jee bhar ke
Kuch alag sa ehsaas hai aaj dil mein
Raat ki chuppi
Raaho ki shaitani harkatein
Badi pyaari lagti hai
Aaj khud se mile hum
Ek naye sire se
Chal rha hai silsila khud mein ghum ho jaane ka
Khud ke pyar mein bahut zyada dube hai hum
Chaandni ki khamoshi
Chaand ka muskurana
Taaro ki shaanti
Mann ka sukoon
Aatma mein raahat
Inn sab ke saath bade khush hai hum
Chaand hume dekh kr muskura raha hai
Taare jal rhe hai
Kyuki unn taaro se zyada
Hum iss chaandni raat ka maza le rhe hai
Aakhn micholi ka khel chaand aur baadalo ke sang
Hum bhi khel rhe hai
Aa raha hai bada maza iss khel mein
Doobe jaa rahe hai hum Khud ke pyar mein ahr bhi zyaada
Kya kare aakhir khud ke deewaane hai hum

No comments:

Post a Comment