Thursday 18 December 2014

Kab Milegi AAZAADI....

Khule aasmaan mein aazaad udne waali panchi hai woh
Kaid kar rakha hai usko naa jaane kyu
Chaar diwari mein band ghut rahi hai woh
Par hai nahi fikar uski kisi ko
Pal pal maut ka intezaar hai usse
Lekin kismat ka khel hi hai niraalaa
Uss ko apni mukti bhi naseeb nahi
Aakhein hai laal uski hotho par gehri chot hai
Haatho par hai nishaan hazaaro
Pairo ki haalat hai kharaab
Badan pe uske hai chaale karodo
Pet mein uske kai dino se kuch gaya nahi
Bhukhi pyaasi padi hai woh wahaan door kone mein
Bandhi hai zanjeero se jinhe todna uske bas ki baat nahi
Thak gayi hai woh ladte ladte
Bachi nahi ab zyaada himmat uss mein sehne ki
Logo ki nazar se chupte chupte jeena padta hai usko
Pyaar ki bhook hai usse
Khayaal ki zaroorat hai
Malham chaahiye usko khushi ka
Badnaseebi hai uski yaa logo ki badtameezi yeh toh pata nahi
Cheekh uski koi sunn ne wala hai nahi
Pukaar uski kaid reh jaati hai chaar diwaari mein
Mann hi mann maangti hai woh rehem ki bheekh khuda se 
Logo ne muh pher liya uss se khuda jaane kyu
Badsalooki ki uske saath
Beimtehaan pareshaan kiya usko
Bematlab taqleef pahuchaayi usse
Kya kasoor tha uska
Agar galati thi uski toh bas itna ki
Woh chup rahi, sehti gayi
Taaqat ki murti hai woh seh legi sab kuch
Lekin usko itna naa tadpaao ki
Woh khud apna wajood bhul jaaye
Ehsaas hi nahi hai usse ki woh ek insaan hai
Paap nahi pari hai woh
Galati woh nahi aap karte ho
Usko tadpaakar
Gumsum hai woh iska matlab yeh nahi ki
Usko bolna aata nahi
Galati uski nahi aapki hai
Jo uski khaamoshi ko
Galat samajhne ka gunaah kar baithte ho

No comments:

Post a Comment