Sunday 25 October 2015

Dil ♡

Kabhi laga hum akele hai
Kabhi laga duniya begaani hai
Shaant the hum sab kuch dekh kar
Toda logo ne bharosa kai baar
Pyaar par vishwaas ab humein nahi
Mann mein hai kai armaan
Par pura karna wala koi aaya nahi
Mohabbat hai dil mein
Lekin koi hai nahi jis pe mohabbat lutaaye hum
Ishq mein padne ka jee toh karta hai
Par darr bhi hai phir se dil ke tutne ka
Tukdo mein bikhar jaata hai dil jab bhi toot ta hai
Awaaz karta nahi mann tutne par
Rooh bhi bant jaati hai hazaaro mein
Tut jaata hai insaan bhi
Aakhein ho jaati hai nam
Par aasu hai ki aakhon se utarte nahi
Sambhaalna mushkil ho jaata hai tute dil ko
Par sabar humne khoya nahi
Besabri se kiya intezaar dil ke judne ka
Dil jud toh gaya par reh gaye hai nishaan
Beintehaan mohabbat hai humein khud se
Talaash rahe hai uss ek ko jo pade hamare ishq mein
Aur dubaaye humein uske pyaar mein
Kehte hai pyaar ek ehsaas hai jisko bayaa nahi kiya jaa sakta
Kabhi pucho kisi tute dil ko pyaar matlab
Toh woh apne aakhon se bayaa kar dega ishq ka matlab
Kabhi suno kisi tute dil ki awaaz
Aisa lagta hai ki kabhi woh dil tuta hi nahi
Aakhir aap kya jaano tute dil ka dard aur uske aasu hote kitne bhaari hai
Kyunki jab dil tut jaata hai
Toh bas insaan bejaan ban reh jaata hai
Aasu woh bahata nahi
Muskuraata rehta hai harr pal
Kyunki uski apni muskuraahat kai dilo ki dhadakne ki vajah jo hai
Uski khushi hi uske dil ka ilaaj hai
Aakhir kaar dil toh baccha hai ji
Phir woh tuta ho yaa naa ho....

No comments:

Post a Comment