Saturday 7 February 2015

Khushi....

Harr pal ek sa hota nahi
Harr lamha khaas hota nahi
Honge kisse kai zindagi ke
Yaad karne ko
Unhe yaad karna zaroor
Jo aaj lamhe hai unhe yaad ban ne mein der lagti nahi
Jee lo aaj hi zindagi ko jee bhar ke
Kyuki kal ka koi bharosa nahi
Pal pal naya ehsaas naye lamhe naya andaaz jeene ka
Tofa hai khuda ka yeh zindagi
Kurbaan hai humari zindagaani
Sochti hoon harr baar yahi ki
Kaash tham jaaye harr woh lamha
Jis pal khush hoon main
Mann hi mann khawaish hai humari khush rehna ka
Kyuki khushi harr kisi ke kismat ki kaki nahi

No comments:

Post a Comment