Monday 9 November 2015

Ajnabee ♡

Tujhe bhula diya kaha iss dil ne
Intezaar hai kisi ka iss mann ko
Manzil toh dikh nahi rahi
Lekin sapne hai hazaar
Rooh ko cheerne waali yaadein hai tumhaari
Par ab woh yaadein hi taaqat hai meri
Parchaai bhi nahi hai ab unn lamho ki
Jo beete the tere saath
Thandi si hawa uss ko mere kareeb laati hai
Halki si muskaan hotho par aa jaati hai
Pakde uska ehsaas mujhe
Bin kahe keh gayi bahut kuch uski aakhein
Bin bole karodo shabd bol gaye uski chupti
Inn sab ko dekh kar laga ki woh hai
Lekin mudkar dekha toh koi tha nahi
Chaand ko dekh rahi hoon main
Kahin naa kahin woh bhi isi chaand ko dekh raha hoga
Soch rahi hoon main uske baare mein
Woh bhi mere baare mein soch raha hoga
Uske hone ka ehsaas hai
Par woh nahi
Uske kadmon ki aahat hai
Par bagal mein woh nahi
Uski hansi toh goonj rahi hai
Par usko maine dekha nahi
Aaine ke saamne main hoon
Par meri aakhon mein woh hai
Dil toh mera hai
Par dhadak raha hai uss ajnabee ke liye
Mile toh nahi hum ek dusre se
Par itna jaanti hoon usko bhi mera intezaar hai
Jaise main uski raah taak rahi hoon

No comments:

Post a Comment