Saturday, 7 February 2015

Bandhe hai hum.....

Harr koi hai ateet ke zanjeero se bandha
Rahaa naa koi chot khaaye bina
Mann hi mann sochte hai hum
Kya koi milega humein jo hai humaare liye bana
Ateet hai ki peecha chodta nahi
Aaj hai jo rukta nahi
Kal hai ki jiska pata kisi ko hai nahi
Ateet ke panno ko padhte reh gaye hum
Kho di aaj ki khushi
Gham hai ki
Aanchal chodne ka naam leta nahi
Parchaai jaise chal raha hai sang humare
Doobe hai hum nadi mein iske
Humein tairna aata nahi
Panno ko palat diya humne
Par kya karein unn yaadon ka
Baatein hai ki chubhti hai di ko
Aakhein humari baat maanti nahi
Saari khushiyo ko samet kar le jaana
Seekhe koi iss se
Harr ghadi harr pal jeena ho jaata hai itna mushkil
Chot par malham bankar naa aaya koi
Nafrat hai humein pyaar se
Maankar dil ki baat aage badhe hum
Par hua wahi jisk tha humein darr
Kheencha ateet ne humein
Girr pade hum phir se
Waqt ne doharaaya itihaas ko
Aur ateet ke unhi panno mein kaid reh gaye hum
Taaktein baithe unn panno ko
Simat gaye ateet mein itna ki
Ab baahar nikal paana toh jaise mumkin nahi
Pata chala nahi thaama kab aaj ne humara haath
Aage badhe hai hum ab peeche aana mumkin nahi

No comments:

Post a Comment