Kabhi socha naa tha itne akele ho jaayenge hum
Sab ke hone ke baavajood akele hai hum
Saalo baad kisi se pyaar kiya humne
Lekin woh pyaar nahi ek saza hai
Maafi de do humein aye mere dil
Dubaara hone waali thi galati humse
Paaya tha khud ko muskuraate hue
Khushi ki muskaan woh thi
Aakhon mein aasu the
Jo bayaan karte humari taqleef ko
Lekin aaj woh muskaan chupaati hai humare dard
Aur aasu prateek hai khushi ka
Badal si gayi yeh zindagi humari
Maasoom sa dil humara tha naadaani mein ghum
Achanak mila usko koi apne jaise
Mehsoos hua humein ki
Woh koi dusra insaan nahi
Humare dil ka ek hissa hai jo kho gaya tha bheed mein kahi
Gale se lagate hue uss dil ko ro pade hum
Kyuki ab aur dard sehna humare bas ki baat nahi
Hoti hai taqleef humein bhi
Lekin batana logo ko zaruri nahi
Seekh liya hai ab humne jeena akele
Iss tarah koi humein chot pahuchaa naa paayega
Akelepan ka mazaa hi kaafi hai humare liye
Kyuki akele naa ho kar bhi akele rehne se accha hai
Akela reh jaana taa umar....
Monday, 9 February 2015
Akelapan
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment