Bachaao! Bachaao! Cheekhti hai woh
Par koi sunnta nahi
Madad maangti hai woh
Lekin uski madad koi karta nahi
Naa jaane kyu
Dekhkar andekha karna accha lagta hai unhe
Uski cheekh toh jaise kaano tak pahunchti hi nahi
Maaloom naa tha ladki hona paap hai
Par haasil karti hai woh
Aasmaan ki unchaaiyon ko
Pari bann jaati hai woh
Aisa kyun hofa hai uske saath
Jab dekho tab hoti hai uski buraai
Kabhi maa, toh kabhi bahu
Kahi beti, toh kahi behen
Kya karein samaaj ki soch ka hum
Kab badlegi inki gandi neeyat
Kehte hai papa apni beti se
SAMBHALNA BITIYA REHNA SAAVDHAAN
Par kehe ki zaroorat toh beto ko hai ki
USKI IZZAT PEHLI ZIMMEDAARI TUMHAARI
Harr baar kyun betiyon ko,Ladkiyon ko di jaati hai chetavani
Kabhi kabaar do apne beto ko,
Ladko ko thodi si samajhdaari
Kyunki hum bhi insaan hai koi bejaan khilauna nahi
Saturday, 7 February 2015
Insaan hai hum bhi....
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment