Yaadein hai kai
Par unhe bhulna aasaan nahi
Kal tak jo aakhon ko nam kar jaati
Aaj wahi jeene ki vajah ban gayi hai
Maasoom se dil ne saha bahut kuch
Maalum naa tha ho jaayega itna mushkil jeena
Inn yaadon ke sang
Haar maanna humne seekha nahi
Aasu ko rokna sab ke bas ki baat nahi
Pal pal soch mein doobi rehti hu
Khayaal aata hai ki
Yeh yaadein itni ziddi kyu hai...???
Bhulne par bhoolti nahi
Sataati hai rooh ko harr baar
Galatiyon ki ginti karvaati hai
Mrudu mann ko tadpaati hai
Harr ghadi, harr lamh
Unn zakhamo ko taaza kar deti hai
Paaya toh hai uss taaqat ka saath
Taaki bhul paau unn kadvi yaadon ko
Jitna lagta hai
Utna aasaan zindagi ka safar hai nahi
Kiye hai kai mushkilo ka saamna
Saha hai asahaneeya dard ko
Phur bhi yaadon se haath choota nahi
Ab inke hone yaa naa hone se koi farak padta nahi
Saturday, 17 January 2015
Yaadein: Ek Saza....
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment