Milna likha tha humara
Mile hum anjaan bankr
Bicchde bhi anjaan rehkr
Yaado ka yeh silsila hai
Jo kabhi khatam hota nhi
Log badal jaate hai pr yaadein nhi
Harr ghadi badalti hai karvat zindagi
Maano harr pal ek nayi kali khil rhi hai
Logo ko bhulne ki koshish hai humari
Pr yeh yaadein hume unhe bhulne deti nhi
Jee liye humne pyaar bhare lamhe ek baar
Ab unn palo ko yaad krne ka shauk hume nhi
Nanhi nanhi karvato mein
Simat si gayi hai khushi
Dil ne pucha
"Kya mujhe muskuraane ka haq nahi..?"
Jiska jawaab de naa paaye hum
Uss ek sawaal ne jakhjor diya humare mann ko
Mann hi mann darr sa laga rhta hai kabhi kabhi
Kyuki aksar kaha jaata hai ki
Khushiyo ko logo ki nazar lagte der nhi lagti
Lagi nazar kisi ki hume bhi
Aaye the woh zindagi mein bahaar ban ne
Par bann gaye woh haiwaan
Ro ro kr tha bura haal humara
Lekin phir bhi tute nhi hum
Dheere dheere alag hone lage hum unse
Pr unki yaado ne hume chain se jeene diya nhi
Kya kare yeh yaadein aakhir mein
Kar deti hai aakhon ko nam
Yeh yaadein hi dil ki kamzor kadi hai
Lekin hum itne kamzor nhi ki
Yaado ke haatho majboor ho jaaye
Chal pade hum phir se thaame yaadon ka haath
Ab yeh kambakhat yaadein hi hai humare saath
Humari taaqat ban kr
Saturday, 1 November 2014
Yaadon ki baaraat
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment