Aksar woh pal aata hai zindagi mein
Jab hume chun na padta hai logo ke beech
Khushi aur zimmedaari ke beech
Aaya woh mod humari zindagi mein bhi
Khade the hum aise
Jaise koi jaa hi nhi bachi seene mein
Socha humne bahut lekin
Nazar naa aaya raasta koi
Har pal har lamha zimmedaari ko nibhaya humne
Ki harr woh koshish apne zimmedaari ko nibhane ki
Pr harr baar koi naa koi kami reh jaati
Saha humne bahut
Di apne khushi ki kurbaani
Pr aakhir hume mila kya
Maanga humne dua unke liye
Aur hume badle mein mili sirf baddua
Anjaan the hum harr baar
Jab diya jhut ko humare naam ka sahaara
Anjnabi the hum aaj tak unki asli chehre se
Harr pal sirf aur sirf jhut kaha gaya humse
Pyaar ko bachaane ke khaatir
Le li unhone dosti ki jaan
Pr phir bhi chup the hum
Mann hi mann socha ki kuch saalo ki baat hai
Kuch nhi kahenge unse
Pr din-ba-din jhut ka ghada bharta gaya
Liya gaya humare sabar ka imtehaan
Lekin phir bhi khaamosh rhe hum
Tuta humara sabar uss din
Jis din uthi ungli humare aatma samaan ke khilaf
Kho diya humne woh bacha kucha sabar
Jab baat hadd se aage badh chuka tha
Sabse zyada sabar rakha hum ne unke prati
Aur aakhir mein unhi ki badaulat
Kho baithe hum dosti pr ka bharosa
Pyaar pr toh tha hi nhi vishwaas
Lekin ab dosti pr ka bharosa bhi uth chuka hai
Thursday, 23 October 2014
Tuta bharosa aur tuti dosti
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment