Sunday, 12 October 2014

Khuda ki amanat

Paati hu khud ko tujh mein
Jeena seekhti hu tujhse
Ban na chaahti teri parchaai
Rehna chaahti hu tere aanchal ki chaav mein
Milta hai sukoon jab hoti hai tu paas
Paaya hai khud ko tujh mein kahi ghum
Ban na hai mujhe tere jaisa
Tere aanchal ko sar par oadhna chaahti hu main
Mann hi mann teri lambi umar ki kaamna karti hu
Aati hu teri godi mein lekar dhero sapne
Laati hu sab ke liye hazaaro khushiyan
Par kyun mere sapno ko, unn khushiyo ko aur mujhe
Khatam kar diya jaata hai
Karvatein badalti hu main teri kokh mein
Tere saath rehti hu main bhi nau mahine
Lekin mujhe paida hone se pehle hi kyu maara jaata hai
Main bhi apne mutthi ko band karke aati hu yahaan
Mere bhi chote - chote haath
Nanhe - nanhe pair hote hai
Khwaabo se bhari aakhein hoti hai
Jinko khulne se pehle hi band kar diya jaata hai
Main bhi badi ho kar aap dono ka naam roshan karungi
Jisko saalo baad doli mein baithna chaahiye
Usse shamshan ghaat ka raasta dikhaya jaata hai
Raat ke andhere mein jise taaro ko dekhna chaahiye
Unn ko gin na chaahiye
Aakhir mein woh khud ek taara ban kar reh jaati hai
Aisa kyu..???
Duniya mein kadam rakhne se pehle hi
Usse iss duniya ko alvida kehna padta hai
Aakhein nam ho jaati hai uski
Yeh jaan kar ki
Woh ek LADKI hai
Kyuki aaj nahi toh kal
Usse maut ke ghaat utaar diya jaayega
BETIYAN bojh nahi hoti
Woh toh khuda ki amanat hoti hai
Jis ko log pehchaan nahi paate...

No comments:

Post a Comment