Kabhi socha naa tha
Zindagi mein aayega ek mod aisa
Jab batt jaayenge hum do hisso mein
Jab bikhar jaayengi cheeze iss kadar ki
Unhe phir sametna hoga bahut mushkil
Baar baar socha humne apni galatiyo ke baare mein
Pr jaan naa sake apne gunah
Chuppi saadhe khade the bejaan aise
Jaise insaan nhi hai hum
Dil ne kaha bahut kuch
Pr sunn ne waala koi nhi
Dimag ne machaya shor aisa
Jaisa puri duniya behri ho jaayegi
Mann mein the kai sawaal
Pr jawaab mila mila nhi
Aur milne ki aasha bhi naa thi
Yaado ke dher mein mila ek aisa heera
Jisne hume kar diya andha
Tuta bharosa humara iss hadd tak ki
Phir judne ki koi gunjaaish nhi bachi
Lekin phir bhi maun the hum
Paaya khud ko itna akela ki
Humara saaya bhi chod chuka tha humara haath
Dil mein sawaal liye
Mann mein ghaav liye
Aakhon mein aasu liye
Chal pade hum ek anjaan safar pr
Ajnabi raah pr apne rooh k saath
Andhera itna jitna hota hai kaali ghufa mein
Choota sab ka haath
Andhere mein toh
Saaya bhi saath chod deta hai
Mila ek aise shaks ka saath hume
Jise kehti hai bewakoof saari duniya
Rehta hai harr pal saath humare pr samajh naa paaya koi
Kosa jisko harr ghadi harr lamha
Gussa kiya jis par
Lekin uss ne humara haath choda nhi
Woh aur koi nhi humara dil hai
Jiske bina adhure hai hum
Sang jinke pure hai hum
Sunday, 16 November 2014
Ajeeb sa yeh dil
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment