Agar woh jalti hai, toh log kehte hai jalne do
Agar woh tapti hai, toh log kehte hai tapne do usse
Jab nahi barasti, toh shraap dete hain
Kehte hai, kyun nahi barsaat deti tum
Aur jab barasti hai, toh koste hai usse
Kehte hai, itna bhi kyun barasti ho
Aakhir woh bhi kya karein?
Hum insaano ko chain hi nahi aata
Kuch bhi ho uss ka naam le lete hai
Garmi badh gayi, toh kehte hai baarish nahi ho rahi
Jab baarish hoti hai, toh kehte hai kitni baarish ho rahi hai
Harr taraf se hum ussko hi bolte hai
Yaad rakhna dosto,
Agar usse kuch hua toh saath mein hum sab ko bhi hoga
Hum sab yeh maante hai ki
PARIVARTAN PRAKRUTI KA NIYAM HAI
Aur jab parivartan hota hai, toh hum usse apnaate nahi
Bin mausam barsaat ko kosa jaata hai
Hadd se zyaada dhoop ho, toh bhi koste hai
Aakhir yeh sab kis ka natija hai??
Kis ki galati hai yahaan?
Hamari....?? Yaa DHARTI MAA ki...??
Peene ko paani aur khaane ko do waqt ki roti nahi milti kuch logo ko,
Aur hum? Hum toh phek dete hai agar accha nahi laga toh....
Pedo paudho ko kaat kar apna sansaar banaya
Par ujaad diya unn maasoom, bezubaan janwaro ka ghar
Kya mila humein iss sab se....??
Unhe bhi toh taqleef hoti hogi...!!
Par woh kahenge kis se??
Humein toh upar waale muh diya, hum bol sakte hai
Par unn bichaaron ka kya.....???
Kya unki bhaavnaayein nahi hoti? Sansaar nahi hota? Mehsoos nahi karte woh?
Sab kuch dekh kar bhi chup hai woh bezubaan
Yeh samajhte hai ki hum unke liye kuch karenge
Sab jaan kar bhi khaamosh hai hamari dharti maa
Lekin usska bhi sabar ka bhaan tootega ek din
Jab woh tuta toh hum sab ki khair nahi
Jaago dosto...!!
Sudhar jaao..!!
Mat do itni taqleef prakruti ko, jaanwaro ko, ped paudho ko
Kyunki hamare harr galat kadam ka asar padta hai dharti maa par
Bachaao ped-paudho ko
Unn mook praaniyon ko
Kyunki aakhir woh bhi allah ke hi bande hai
Jaise hum waise hi woh.......
Sunday, 15 May 2016
Allah ke bande
Labels:
save earth
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment