Wednesday, 4 November 2015

Maa meri maa

Parvaah hai usse apno ki...
Fikr hai apne parivaar ki...
Darrti nahi woh duniya se...
Lad jaaye khuda se..
Apno ki salamati ke liye...
Beemaar ko koi apna...
Toh jaage woh saari raat...
Chot lage uske bacche ko...
Par aansu bahaaye woh...
Dard ho seene mein uske...
Hanste muskuraate seh le woh...
Taqleef mein ho uske maasoom baalak uska...
Toh dil tukdo mein bant jaaye...
Farak karti nahi ladki aur ladke ke beech...
Ek samaan pyaar karein dono ko...
Rote ko shaant karaye woh...
Par khud roye band darwaaze ke peeche...
Jaage raat bhar zaroorat padne par...
Thakti nahi woh kaam karke...
Rukna usse aata nahi...
Bikhar jaati hai woh bhi kai baar...
Lekin phir sambhaal bhi leti hai khud ko
woh...
Budhaape mein sahaara bann na uska...
Kyunki bachpan mein kabhi choda naa usne tera saath...
Bojh nahi vardaan hai woh...
Insaan ke roop mein bhagwaan ka farishta hai woh...
Sabse pehle soche tere baare mein...
Teri janmadaata hai woh...
Kuch bhi kahe duniya tujhse uske baare mein...
Sunn na mat zamaane ki
Kyunki aakhir kaar TERI APNI MAA hai woh........

No comments:

Post a Comment