Kokh mein palti hu tere
Hissa hu main tera
Pyar karti hu tujhse
Khud se zyada
Dhadakta hai mera bhi dil
Har roz badhti hu thoda thoda
Teri aakhon se dekhti hu main duniya ko
Teri saanso mein hai meri jaan
Hasti roti hu tere sang
Khud ko rang leti hu main tere rang mein
Meri berang si duniya ko rangeen banaya tu ne
Hak hai tera mujh pr sabse pehle
Khuda ka farishta hu main
Papa ki raajkumari hu
Teri laadli hu main
Pr kyu maarti hai tu mujhe
Yeh jaankar ki
Aakhir ek ladki hu main
Kehti hu main bhi tujhe "MAA"
Lekin kyu mujhse pyar nhi hai tujhe...??
Teri hi parchaai hu main
Par phir bhi khud se door kyu kar deti hai mujhe..??
Duniya ki sabse acchi beti ban kar dikhaungi main
Lekin maa.... mat maar mujhe
Jeena chaahti hu main
Tere khwaabo ko pura karna chaahti hu
Sapne jo tune bune hai
Unhe such karne ki chaahat hai meri
Lekin yeh sab sirf tab hoga
Jab tu mujhe iss duniya mein kadam rakhne degi
Gala mat ghotna mera
Beti hu toh kya hua...??
Aakhir main bhi insaan hu maa..
Tera hi ansh hu
Door mat kar mujhe maa
Jee nahi paaungi tere bina
Bhale hi main tera eklauta sahara nhi hu
Par main... main toh iss anjaan duniya mein
Sirf tujhe jaanti hu maa
Tu hi hai mere liye sab kuch
Mat maar maa
Mujhe mat maar
Jeene de mujhe ....
Kyuki tu maane ya naa maane
Teri hi beti hu main.......
Thursday, 25 December 2014
Jeene de
Labels:
let her live
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment