Thursday, 27 November 2014

Dil ki baat

Pal pal dard ke iss ehsaas ne kar diya hai hume bejaan sa
Mazboot hai huamra dil aaj bhi sab kuch seh lega yeh
Ajnabee se ho gaye hai hum
Anjaane se rehne lage hai
Khushi hai ki, hum tak aati nahi
Gham hai jo hume chod kar kahi jaati nahi
Piss raha hai bechaara dil humaara
Sunn li humne dimaag ki baat ek baar zindagi mein
Chod diya marne apne dil ko akela
Saha uss maasum ne bahut kuch chup chaap
Ek baar socha hota humne uss dil ke baare mein
Jo khada raha ban kar humari reed ki haddi
Bhul se gaye the uss nanhi si jaan ko
Par ab aur nahi
Tuta hai toh kya aaj bhi mazboot hai
Diya saath humara iss ne harr pal harr kadam
Kadar naa ki humne iski zindagi mein pehli baar
Galati thi humari jo naa maani apne dil ki baat
Dobaara dohraana nahi hume uss galati ko
Kyuki phir se apne dil ko til til marta hua dekh naa payenge hum

Sunday, 23 November 2014

Dostaana Humaara

Ruth kar humse kabhi dur naa jaana aap
Pal pal aapka ehsaas zindagi ko aur accha banata hai
Harr ghadi khush rehte hai hum
Mann mein maangte hai duaa aapke liye
Khush naseebo ki zindagi mein hote hai aap jaise log
Khudaa ka shukriyaada karte hai hum
Kyuki bheja unhone aapko humari zindagi mein
Dur jaane ka khayaal hi mann ko daraa deta hai
Dosti ka yeh khubsoorat anokha rishta hai humara aapse
Ruth jaaooge humse aap toh seh naa paayega yeh dil
Kuch saalo se dost hai hum par aisa lagta nahi
Naa jaane kyy aakhein baar baar bhar aati hai humari
Aap sab se dur jaane ke baare mein soch kar hi
Zindagi ko jeene laayak banaya aapne
Hasna rona aap ke sang sikhayaa aapne
Ab dur mat jaana mere dosto
Kyuki aapke bina jee naa sakenge hum
Maut bhi sweekaar hai hum aapki dosti ke badle
Kyuki aakhir woh jeena hi kya jis mein dosto ki dosti naa ho

Friday, 21 November 2014

mazboot sahaara

Thandi si yeh hawa kuch keh rahi hai hum se
Taaro ki roshni de rahi hai halka sa sukoon
Lambe lambe yeh ped khaamosh khade hai
Udti zulfe humari chupa rahi hai humara dard
Mann hi mann khush hai hum naa jaane kyu
Pal pal ek alag sa ehsaas chu raha ha dil ko
Lag raha hai jaise phir se jeene lage hai hum
Kaapte yeh thade jhoke
Aazaad hai apni kahaani baantne ko
Harr ghadi ek naya josh ek naya anubhav
Milne lage hai hum khud se aur bhi zyaada
Pyaar karne lage hai hum phir se beintehaan
Dil dhadakne laga hai ab dubaara
Khayaal aata hai unn lamho ko jo choot gaye iss bhaag daud mein
Kehte hai zindagi choti hoti hai
Agar such hai yeh toh maano meri baat mere dosto
Jee lo yeh khaas pal apne saath
Bikhar gaye the hum par ab samet liya hai sab kuch humne
Shuru ki hai zindagi ka naya daur kisi ko sang liye
Accha lagne laga hai harr pal uss khaas insaan ke saath
Pehle toh sirf zinda the
Lekin ab jeene lage hai
Maafi mil gayi hume uss khaas insaan se
Paa liya rab ko humne
Khushi se daaman bhar gaya hai
Dil mein ab koi dard koi gham nahi
Mann mein koi gile shikwe nahi
Halka mehsoos ho raha hai ab hume
Kyuki humare dil mein ab koi bojh nahi
Vaakai bahut bada hai humara dil
Jisne bina kuch soche humaari harr galati ki maafi de di
Mohabbat toh hai hume
Lekin iss baar sirf humare dil se apne aap se
Kyuki duniya dhokha de sakti hai par dil nahi
Bharosa hai iss baat ka ki ab hum bikharenge nahi
Kyuki aakhir thaama hai humare dil me humaara haath

Monday, 17 November 2014

Naazuk hote hai yeh "rishte"

Naa jaane kyu rishto ka ghar hota hai bahut naazuk
Harr ghadi tutne ka darr laga rehta hai dil mein
Rishto ko bachaane ki harr koshish mein
Kho diya apna aatma sammaan
Harr pal rishtedaaro ke khaatir chadha di apne khushiyo ki bali
Phir bhi kuch naa kuch pad hi jaata hai kam
Thak gaye hai hum rishto ka bojh uthate uthate
Lekin khaamosh hai hum
Mann mein kosa apne kismat ko
Rooh ki cheekh sunn naa paaya koi
Mazaak banaya gaya humara harr waqt
Par phir bhi chup the hum
Aasu baha raha hai bechaara dil humara
Lekin unn aasuo ko pochne waala koi nhi
Muskuraahat chinn si gayi hai humari
Pal do pal ka saath tha humara inn rishton se
Jo ab choot gaya hai
Kisi ki khushi ke khaatir nibhaya humne harr woh rishta
Jo hume sabse zyaada taqleef de jaata
Chot khaayi humne harr baar
Lekin ki nhi shikaayat kabhi kisi se
Haar gaye hai hum ab inn rishto ke saamne
Kyuki ab inn bematlab rishto ko nibhaa kar
Khud ki bali chadhaane ka ab hume koi shauk nhi

Sunday, 16 November 2014

Strange life

Sometimes some things are meant to be learnt from life
Today's mistakes wil b tomorrow's lessons
Not always wil life be fair
But it won't b unfair either
Life always teaches us unforgetable lessons
Learn to smile & accept the lessons which life teaches
Life is not always abt being happy
Its abt being able to smile even when u are in tears
At times ppl feel u have the best life
Dey envy they had a life style like yours
But they r not aware of what u are going through
Someone somewhere lives for u
Prays for ur well being
Life isnt as simple it seems to be
Its all about how you define it
And not what others define it for u
Life is all yours
Live it the way you want
Not the way others want you to lead it
Learn as much as you can
Because time once gone never comes back
Never envy to be in someone's place
Because you are unaware of what their life is all about
Simple life is with all its complications
Remember life is never complicated
Its people who complicate it
Live each day as if its your last day
You never know what the future has in store for you
Give everything your best shot
May be one day you'll achieve what others couldn't
Simplicity is the essence of life
Life is meaningless without you in it

Ajeeb sa yeh dil

Kabhi socha naa tha
Zindagi mein aayega ek mod aisa
Jab batt jaayenge hum do hisso mein
Jab bikhar jaayengi cheeze iss kadar ki
Unhe phir sametna hoga bahut mushkil
Baar baar socha humne apni galatiyo ke baare mein
Pr jaan naa sake apne gunah
Chuppi saadhe khade the bejaan aise
Jaise insaan nhi hai hum
Dil ne kaha bahut kuch
Pr sunn ne waala koi nhi
Dimag ne machaya shor aisa
Jaisa puri duniya behri ho jaayegi
Mann mein the kai sawaal
Pr jawaab mila mila nhi
Aur milne ki aasha bhi naa thi
Yaado ke dher mein mila ek aisa heera
Jisne hume kar diya andha
Tuta bharosa humara iss hadd tak ki
Phir judne ki koi gunjaaish nhi bachi
Lekin phir bhi maun the hum
Paaya khud ko itna akela ki
Humara saaya bhi chod chuka tha humara haath
Dil mein sawaal liye
Mann mein ghaav liye
Aakhon mein aasu liye
Chal pade hum ek anjaan safar pr
Ajnabi raah pr apne rooh k saath
Andhera itna jitna hota hai kaali ghufa mein
Choota sab ka haath
Andhere mein toh
Saaya bhi saath chod deta hai
Mila ek aise shaks ka saath hume
Jise kehti hai bewakoof saari duniya
Rehta hai harr pal saath humare pr samajh naa paaya koi
Kosa jisko harr ghadi harr lamha
Gussa kiya jis par
Lekin uss ne humara haath choda nhi
Woh aur koi nhi humara dil hai
Jiske bina adhure hai hum
Sang jinke pure hai hum

Friday, 7 November 2014

Khawaabo ka aashiyaana

Paana chaahte hai bahut kuch
Sapne sanjoye hai hazaaro
Aakhon ne bune hai khwahishein kai
Mann betaab hai bhaagne ko
Sapno mein dekha hai khud ko kaamiyaab
Uss sapne ko such karne chaahte hai hum
Mann hi mann thaan li hai ki
Ab jiyege toh sirf unn sapno ke khaatir
Woh garv aur kahi nhi milta
Woh aatma sammaan sukoon de jaata hai
Saalam thokte hai hum apne sapno ko
Unhe haqeeqat mein badalna chaahte hai
Kehte hai sapno ki duniya rangeen hoti hai
Pr asal mein sapne rangeen tab bante hai
Jab hum unke peeche bhaage taaki woh such ho
Sapne dekhne ka haq sab ko hai
Unhe pura karna yaa naa karna
Aap par nirbhar hai
Woh khushi jab humara sapna such hua ho
Woh ehsaas
Jab hum apne sapno ko paane ke khaatir jee jaan laga dete hai
Pal pal jeena apne sapno ke saath Aur ek din unn sapno ko pura karke saans lena
Alag hi josh de jaata hai
Hum woh nahi jo sapne sajaye aur bhul jaaye
Hum unn logo mein se hai
Jo sapne dekhna jaante hai
Aur unhe such karne ki himmat bhi rakhte hai
Sab ke bas ki baat nhi
Aur hum haar maan ne waalo mein se nhi

Sunday, 2 November 2014

Humari duniya

Diya aapne saath humara
Harr pal harr kadam
Mann mein the kai sawaal aapko lekar
Pr dheere dheere mile sab ke jawaab
Adhure the hum aapke bina
Khalti thi kami ek bhai ki pehle
Par ab aur nahi
Mile aap zindagi k registhan mein paani ki ek boond k jaise
Khayaal rakha humara ek mulayam gulab k jaise
Kaante aaye bahut saare
Pr mita naa saka koi kaanta humare iss bandhan ka astitva
Jeete hai hum aapki badaulat
Naaz hai hume khud pr
Kyuki aapki ek muskurahat ki vajah hum bhi bante hai
Kabhi kabhi dil mein khayaal aata hai ki
Reh jaaye ban kr aapki nanhi pari hum humesha k liye
Maana hai aapko apna sab kuch humne
Nahi jaante humari kya jagah hai aapki zindagi mein
Lekin aapki jagah hai bhagwaan k baad humari zindagi mein
Harr baar khuda se maangte hai aapki khushi
Kyuki aapki muskuraahat mein hai humari hasi
Aapke aakhon mein ek boond aasu dil ko taar taar kar deti hai
Aapke liye kuch bhi kar jaane ka jee karta hai
Aapke baare mein soch kr hi
Chehre pr humare aati hai halki si muskuraahat
Pal do pal ka naata humara nahi
Rakhi baandha hai sirf naam ke liye nahi
Aksar aap se door jaane ka khwaab ki
Jee ko jakhzor deta hai
Duniya ki hume koi parvaah nhi
Aapke alava aur kisi pe bharosa nahi
Dil mein baste ho aap dhadkan ke jaise
Rooh mein rehte ho aap aatma ke samaan
Aakhon mein baste ho sapno ki tarah
Humari duniya aap ho
Aakhir aap hi toh ho woh jis ke liye zinda hai hum
Bhai behen ka yeh rishta aur rishton ki tarah kamzor nahi
Kyuki ek dusre ke dil mein rehte hai hum

Your presence

I never thought living without u wuld b so tough
The thought of getting away from u makes me mad
Life was never like this before
But ur presence does make the difference
My life is unimaginable without u
Simple it is with u beside me
I live a life with problems in it
But when I have u next to me
Everything seems simple
Life was a battlefield for me
After u entered it became heavenly
I love my life just because u are in it
Before problems seemed so difficult
Now I deal with them with a smile
As it makes me feel better
I sit for long & think of ur place in my life
Slowly I discover u r my life
Your thought brings a wide smile on my face
Your tears cut my heart into slices
Your happiness is my top priority
Your sorrow is ur option
I pray god to exchange our happiness & sorrows
Because my happiness lies in your smile
You smile & my day is made
I live a royal life when I am with you
I am ur little princess who lives just for u
Life would take such a turn I never thought
I met you a few years ago
But I feel I know you from the day one I was born
Little did I know that
You would matter so much in my life
I would have asked god to send you in my life before
I love to see you smile
Afterall I am your sis
Who is ready to quit her life Just to get happiness for her brother
You are my Angel sent by God himself
And I would never upset my God
U'll be preserved until I'm alive
And after that my God will protect you

Saturday, 1 November 2014

Yaadon ki baaraat

Milna likha tha humara
Mile hum anjaan bankr
Bicchde bhi anjaan rehkr
Yaado ka yeh silsila hai
Jo kabhi khatam hota nhi
Log badal jaate hai pr yaadein nhi
Harr ghadi badalti hai karvat zindagi
Maano harr pal ek nayi kali khil rhi hai
Logo ko bhulne ki koshish hai humari
Pr yeh yaadein hume unhe bhulne deti nhi
Jee liye humne pyaar bhare lamhe ek baar
Ab unn palo ko yaad krne ka shauk hume nhi
Nanhi nanhi karvato mein
Simat si gayi hai khushi
Dil ne pucha
"Kya mujhe muskuraane ka haq nahi..?"
Jiska jawaab de naa paaye hum
Uss ek sawaal ne jakhjor diya humare mann ko
Mann hi mann darr sa laga rhta hai kabhi kabhi
Kyuki aksar kaha jaata hai ki
Khushiyo ko logo ki nazar lagte der nhi lagti
Lagi nazar kisi ki hume bhi
Aaye the woh zindagi mein bahaar ban ne
Par bann gaye woh haiwaan
Ro ro kr tha bura haal humara
Lekin phir bhi tute nhi hum
Dheere dheere alag hone lage hum unse
Pr unki yaado ne hume chain se jeene diya nhi
Kya kare yeh yaadein aakhir mein
Kar deti hai aakhon ko nam
Yeh yaadein hi dil ki kamzor kadi hai
Lekin hum itne kamzor nhi ki
Yaado ke haatho majboor ho jaaye
Chal pade hum phir se thaame yaadon ka haath
Ab yeh kambakhat yaadein hi hai humare saath
Humari taaqat ban kr